Masla-e-Ishq
qurbat ki aakhri hadd
Masla raaton se nahi,
Masla un khwaabon se hai…
Jo palkon se utarte nahi,
Aur ta'beer tak pahunchte nahi.
Masla usse nahi,
Masla uski yaadon se hai…
jo ek dafa rooh me utar jaaye,
phir umar bhar rukhsat hoti nahi.
Masla mohabbat se nahi,
Masla us nigah se hai…
jisne ek martaba dekha,
aur hume umr bhar dekhte rehne ki saza de di.
Masla uske labon se nahi,
Masla un unkahi baaton se hai…
Masla uski bahon se nahi,
Masla un faaslon se hai…
Toh…
Masla dil ka tha…ya dhadkan ka?
Masla hijr ka tha…ya wasl ka?
Masla usse tha…
Ya uske baad bhi usi ka tha?
Masla hijr se nahi,
Masla us wasl se hai…
jo lamhon mein mukammal hua,
magar sadiyon takk khatam na hua.
Masla uski wafa ka nahi,
Masla hamare yaqeen se hai…
Hum toh use bhool bhi jayein,
Magar iss dil ko kaun samjhaye?
Aakhir samajh aaya…
Masla uski qurbat ka nahi,
Masla hamari tishnagi ka tha…
Wo ek qatra tha,
Aur hum use samandar likh baithe.
Masla uske waadon ka nahi,
Masla hamari sadaqat ka tha…
Usne ek lafz kaha,
Aur hum umr bhar uska matlab dhoondhte rhe.
Aur shayad…
Masla uske ishq ka nahi,
Masla iss fitrat ka tha…
Masla ye tha ki jahan uski samajh…
Aur hamare sabr ka safar khatam hota hai,
Wahin se meri mohabbat shuru hoti hai.
~Ravaani🎀
Meanings:
ta'beer- fulfilment of dream
rukhsat- departure
mukammal- whole
hijr- separation
wasl- union
wafa- loyaltry, devotion
qurbat- intimacy
tishnagi- longing, thirst
sadaqat- sincerity, truthfulness
Hindi version:
मसला रातों से नहीं,
मसला उन ख़्वाबों से है…
जो पलकों से उतरते नहीं,
और ताबीर तक पहुँचते नहीं।
मसला उससे नहीं,
मसला उसकी यादों से है…
जो एक दफ़ा रूह में उतर जाए,
फिर उम्र भर रुख़्सत होती नहीं।
मसला मोहब्बत से नहीं,
मसला उस निगाह से है…
जिसने एक मर्तबा देखा,
और हमें उम्र भर देखते रहने की सज़ा दे दी।
मसला उसके लबों से नहीं,
मसला उन अनकही बातों से है…
मसला उसकी बाँहों से नहीं,
मसला उन फ़ासलों से है…
तो…
मसला दिल का था… या धड़कन का?
मसला हिज्र का था… या वसल का?
मसला उससे था…
या उसके बाद भी उसी का था?
मसला हिज्र से नहीं,
मसला उस वसल से है…
जो लम्हों में मुकम्मल हुआ,
मगर सदियों तक ख़त्म न हुआ।
मसला उसकी वफ़ा का नहीं,
मसला मेरे यक़ीन से है…
हम तो उसे भूल भी जाएँ,
मगर इस दिल को कौन समझाए?
आख़िर समझ आया…
मसला उसकी क़ुर्बत का नहीं,
मसला हमारी तिश्नगी का था…
वो एक क़तरा था,
और हम उसे समंदर लिख बैठे।
मसला उसके वादों का नहीं,
मसला हमारी सादाक़त का था…
उसने एक लफ़्ज़ कहा,
और हम उम्र भर उसका मतलब ढूँढते रहे।
और शायद…
मसला उसके इश्क़ का नहीं,
मसला इस फ़ितरत का था…
मसला ये था कि जहाँ उसकी समझ…
और हमारे सब्र का सफ़र ख़त्म होता है,
वहीं से मेरी मोहब्बत शुरू होती है।
~रवानी 🎀








✨✨✨✨✨
So beautiful ❤️❤️